Tuesday, July 23, 2013

Tujhe Kaun Karega Pyaar

Teri Payal Ki Jhankaar Arey Re Baba Na Baba
Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Tu Ghar Aangan Ki Izzar Thi Pehle Is Ghar Ki Zinat Thi
Tujhse Duniya Aabad Hui Tu Hi Pehle Barbaad Hui
Bikti Hai Khule Baazar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Kahin Maa Hai Kahin Biwi Bankar Beti Hai Behen Hai Tu Ghar Ghar
Kadmo Me Tere Jannat Aayi Phir Bhi Na Tujhe Gerat Aayi
Yeh Roop Tera Singaar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Kuch Apne Jawaano Ki Ghaflat Kar Baithe Jawaani Me Ulfat
Khushiyo Ka Mahal Aabad Kiya Lekin Khud Ko Barbaad Kiya
Aur Kitne Mile Beemar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Achche Achche Gir Jaate Hai Bas Ek Teri Angdaai Me
Ek Lamhe Me Das Leti Hai Naagan Bankar Phurwaai Me
Tera Kaun Banega Yaar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Tu Ghar Me Dulhan Bankar Aayi Pehle To Bahut Kuch Sharmaai
Ab Ghoom Rahi Hai Sadko Par Koi Sang Chale Picture Picture
Tera Har Din Hai Itwaar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba

Naino Ki Chalaa Kar Madhushala Raahi Ko Bhi Pagal Kar Daala
Tasbih Bhi Giri Mullah Ki Mere Pandi Ki Mere Chuti Maala
Tere Ishq Ka Yeh Vyapaar Arey Re Baba Na Baba

Tujhe Kaun Karega Pyaar Arey Re Baba Na Baba


                                             - Rahi Bastavi