Sunday, November 3, 2013

Dard-E-Aashiq

Hothon Pe Mohabbat Ke Fasaane Nahi Aate 
Sahil Pe Samander Ke Khazane Nahi Aate 
Palkein Bhi Chamak Uth-ti Hain Sote Huye 
Humari Aankho Ko Abhi Khwab Chupane Nahi Aate 
Dil Ujadi Huyi Ek Saraay Ki Tarah Hai 
Ab Log Yahan Raat Bitane Nahi Aate 
Udne Do Parindo Ko Abhi Shokh Hawa Mein 
Fir Laut Ke Bachpan Ke Zamane Nahi Aate
Kya Soch Ke Aaye Ho Mohabbat KiGali Mein
Jab Naaz Haseeno Ke Uthane Nahi Aate 
Apne Bhi Gairon Ki Ada Seekh Gaye Hain 
Aate Hain Magar Dil Ko Dukhane Nahi Aate 
                                                                 - Bashir Badr

No comments:

Post a Comment